āgahī kab yahāñ palkoñ pe sahī jaatī hai
baat ye shiddat-e-girya se kahī jaatī hai
ham use anfus o āfāq se rakhte haiñ pare
shaam koī jo tire ġham se tahī jaatī hai
ik zarā Thahr abhī mohlat-e-benām-o-nishāñ
darmiyāñ baat koī ham se rahī jaatī hai
garmi-e-shauq se pighlī tire dīdār kī lau
tez ho kar marī āñkhoñ se bahī jaatī hai
shāḳh-e-nāzuk se dam-e-tez havā-e-furqat
nā-tavānī kahāñ pattoñ kī sahī jaatī hai
harf-e-inkār likhā jis pe havā ne kal tak
rahguzar dil kī taraf aaj vahī jaatī hai
jaa.e jaatī nahīñ zulmat magar akasr 'mohsin'
ik diyā us kī taraf ho to yahī jaatī hai