pas-e-dīvār hujjat kis liye hai
darīche se ye vahshat kis liye hai
na maiñ apnā na maiñ terā huuñ duniyā
to phir jiine kī hasrat kis liye hai
agar suud o ziyāñ ke ham haiñ qaa.el
junūñ se apnī qurbat kis liye hai
jafā hī jab tirī pahchān Thahrī
vafā meñ mujh ko lazzat kis liye hai
mirī āñkhoñ pe jo pahra hai terā
to ā.īne se raġhbat kis liye hai
ḳhud apne ghar meñ hai jab ajnabī to
mire bhaa.ī ye shohrat kis liye hai
safar meñ jab na tere kaam aa.e
zarā ye soch daulat kis liye hai
adab hī zindagī meñ jab na aayā
adab meñ itnī mehnat kis liye hai
nikal aa.e haiñ dīvāroñ pe chehre
tasavvur kī ye jiddat kis liye hai
mirā ā.īna hai jab terā chehra
to phir duniyā kī hairat kis liye hai
ḳhamoshī hai javāb-e-jāhilāñ jab
zabāñ jaisī ye ne.amat kis liye hai
hai duniyā kā javāz is amr hī meñ
jahannam kyuuñ hai jannat kis liye hai
nahīñ vāqif hai dil īsār se jab
'atā' iz.hār-e-ulfat kis liye hai