Ata Abidi

tirgi shama bani rahguzar mein aai

Ata Abidi

tīrgī sham.a banī rāhguzar meñ aa.ī
saa.at ik aisī bhī kal apne safar meñ aa.ī
jis jagah chehra hī meyār-e-vafā Thahrā hai
ḳhaak hī ḳhaak vahāñ dast-e-hunar meñ aa.ī
terī nazroñ meñ thī duniyā to yahī kyā kam thā
hashr ye hai ki tū duniyā kī nazar meñ aa.ī
bār-hā yāroñ ne sāhil se kahā thā ham haiñ
bār-hā naav magar apnī bhañvar meñ aa.ī
zindagī samjhūñ ise yā ki ise maut kahūñ
vo jo mehmān kī sūrat mire ghar meñ aa.ī
yuuñ bhī tārīḳh kī tārīḳh raqam hotī hai
niklī tārīḳh mahal se to khañDar meñ aa.ī
ḳhvāb hī ḳhvāb kī ta.abīr huā to jaanā
zindagī kyuuñ kisī āñkhoñ ke asar meñ aa.ī
sham.a jalte hī bujhī aur dhuāñ aisā uThā
lazzat-e-shām yahāñ ḳhvāb-e-sahar meñ aa.ī
zindagī kuchh hai 'atā' sher-o-adab hai kuchh aur
ye do-rañgī kī vabā kaisī hunar meñ aa.ī
Top Urdushayar.com