Ata Abidi

sar pe suraj ho magar saya na ho aisa na tha

Ata Abidi

sar pe sūraj ho magar saaya na ho aisā na thā
pahle bhī tanhā thā lekin is qadar tanhā na thā
vo to ye kahiye ġham-e-daurāñ ne rakh lī aabrū
varna dil kī baat thī kuchh khel bachchoñ kā na thā
bach ke tūfāñ se nikal aayā to hairānī hai kyuuñ
go safīna Dūbtā thā hausla TuuTā na thā
aap aa.e to yaqīñ karnā paḌā varna yahāñ
raat ko sūraj kabhī aflāk par niklā na thā
shahr-e-dillī ā.īna-ḳhāna hai lekin ai 'atā'
jaal to ḳhush-fahmiyoñ kā aap ko bunñā na thā
Top Urdushayar.com