koī bhī ḳhush nahīñ hai is ḳhabar se
ki duniyā jald lauTegī safar se
maiñ sahrā meñ safīna dekhtā huuñ
samundar koī guzrā hai idhar se
sambhālo apnā harf-e-dād-o-tahsīñ
maiñ kab huuñ mutma.in arz-e-hunar se
ḳhatā hai ye javāz apnī ḳhatā kā
ḳhatā.eñ hotī rahtī haiñ bashar se
sabhoñ meñ ḳhāmiyāñ hī dekhtā hai
vo hai mahrūm kyā husn-e-nazar se
ġhazab kā aa.egā sailāb yaaro
ki guzrā hai bahut sā paanī sar se
bulandī itnī bhī achchhī nahīñ hai
utāro ab 'atā' ko daar par se