yuuñ ba-mushkil dil-e-majrūh se paikāñ niklā
maiñ ye samjhā ki tire vasl kā armāñ niklā
dekh kar us ko dam-e-naza.a huiiñ āñkheñ band
jaan ke saath hī dīdār kā armāñ niklā
arsa-e-hashr meñ pursish jo huī us but kī
mere hī dil meñ vo ġhārat-gar-e-īmāñ niklā
dhuum sahrā-e-qayāmat kī bahut sunte the
ai junūñ vo bhī mirā ek bayābāñ niklā
ḳhaak meñ mil ga.e ham jis kī tamannā meñ 'jigar'
vo lahad par bhī sambhāle hue dāmāñ niklā