Ata Abidi

sanson ke taaqub mein hairan mili duniya

Ata Abidi

sāñsoñ ke ta.āqub meñ hairān milī duniyā
tasvīr bane jab ham ā.īna huī duniyā
ham ḳhuun pasīna jab ik kar ke hue raushan
kyuuñ aag banī duniyā aur ḳhuub jalī duniyā
apnā nazariyya kyā mahrūm-e-nazar haiñ jab
us samt chale ham bhī jis samt chalī duniyā
sailāb-e-balā se ye kyuuñ ḳhauf dilātī hai
kyā ham ko bachā.egī sho.aloñ meñ ghirī duniyā
ma.amūl judā.ī hai go phuul kī gulshan se
lekin jo huī anqā ḳhvāboñ meñ basī duniyā
sab ḳhvāb purāne haiñ har chand fasāne haiñ
ham roz basāte haiñ āñkhoñ meñ na.ī duniyā
ham donoñ safar meñ the ma.alūm nahīñ ab kuchh
kyā tū ne kahī duniyā kyā ham ne sunī duniyā
fardā-e-qayāmat kā va.ada tirā pursāñ hai
ab kitnī bachīñ sāñseñ ab kitnī bachī duniyā
har baat pe hairānī har lamhe kī nigrānī
duniyā se 'atā' ya.anī kab samjhī ga.ī duniyā
Top Urdushayar.com