Shagufta Yasmeen

tumhaari yaad to lipTi hai pure ghar ke manzar se

Shagufta Yasmeen

Navada Kalan, Bihar, India

tumhārī yaad to lipTī hai puure ghar ke manzar se
darīche se zamīñ se baam se dīvār se dar se
mujhe to kūcha-e-mahbūb kā patthar bhī pyārā hai
nagīñ se la.al se almās se nīlam se gauhar se
muqaddar kī shab-e-zulmat kabhī raushan nahīñ hotī
diye se maah se qindīl se jugnū se aḳhtar se
tumhārī aañkh kī gahrā.iyoñ kā kyā taqābul ho
nadī se jhiil se dariyā se jharne se samundar se
yazīdoñ ko ḳhabar hai karbalā vaale nahīñ Darte
sināñ se tiir se talvār se barchhī se ḳhanjar se
kareñ ham sa.ī jitnī bhī kahāñ mumkin hai bach paanā
za.īfī se qazā se qabr se barzaḳh se mahshar se
tumhārī diid kī tishna-nigāhoñ ko hai kyā nisbat
subū se tuur se chilman se paimāne se kausar se
ġhazal kī shā.irī kā vasf hai sab se judāgāna
adā se fikr se uslūb se jiddat se tevar se
Top Urdushayar.com