ek sūraj ko suraḳh-rū kar ke
lauT aa.ī huuñ us ko chhū kar ke
be-ġharaz aaj tak milā na koī
thak ga.ī maiñ bhī justujū kar ke
zahar kā jaam hī pilā.eñge
log mīThī sī guftugū kar ke
mujh pe uñglī uThā.iye lekin
aa.ina apne rū-ba-rū kar ke
terī yādeñ mirī ibādat haiñ
sochtī huuñ tujhe vuzū kar ke
terī jānib chale haiñ dīvāne
apne zaḳhmoñ ko phir rafū kar ke
ham ne dil se pukārā us ko ġhazal
apne chehre ko qibla-rū kar ke