Paras Mazari

itni si aankh ne gham kitna uTha liya hai

Paras Mazari

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1985
itnī sī aañkh ne ġham kitnā uThā liyā hai
kashtī ne apne andar dariyā uThā liyā hai
us nī-vasl se ye tark-e-ta.alluq achchhā
chāñdī ko rakh ke maiñ ne sonā uThā liyā hai
ik to pagār jaise bachchoñ kī jeb-ḳharchī
uupar se dostoñ kā ḳharcha uThā liyā hai
ḳhushbū ke āshiqoñ ko taz.īn-e-bāġh se kyā
jo phuul bhī zarā sā mahkā uThā liyā hai
chubh jaa.e soī bhī to bhāgeñ mujhe dikhāne
jaise ki maiñ ne sab kā Thekā uThā liyā hai
naanī ne tark kar dī kyuuñ rasm-e-qissa-goī
kyā chāñd se kisī ne charḳha uThā liyā hai
Top Urdushayar.com