Paras Mazari

apni pasand chhoD di uski KHarid li

Paras Mazari

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1985
apnī pasand chhoḌ dī us kī ḳharīd lī
virse kā khet bech ke koThī ḳharīd lī
ik umr apne beToñ ko uñglī thamā.ī phir
būḌhe ne ik dukān se lāThī ḳharīd lī
vaise to nirḳh kam hī the gandum ke is baras
aa.ī thī tere gaañv se mahñgī ḳharīd lī
ham dostoñ ke pyaar meñ ham-rañg haiñ libās
aur log kah rahe haiñ ki vardī ḳharīd lī
tasvīr apnī ḳhud hī musavvir ko bhā ga.ī
ḳhud gallery meñ pesh kī ḳhud hī ḳharīd lī
ai hijr-zād tum ko bhī hai ārzū-e-vasl
ai dasht-zād tum ne bhī kashtī ḳharīd lī
dar-asl mas.ala to hai chalnā ghaḌī ke saath
is se ġharaz nahīñ hai ki kaisī ḳharīd lī
Top Urdushayar.com