Paras Mazari

tera ghurur-e-abas intihai sath pe hai

Paras Mazari

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1985
tirā ġhurūr-e-abas intihā.ī sat.h pe hai
bulandī par bhī vahī hai jo khaa.ī sat.h pe hai
phalāñg saktā huuñ jitnā hai do diloñ ke beach
magar jo fāsla juġhrāfiyā.ī sat.h pe hai
mujhe nahīñ hai zarā rañj tah-nashīnī kā
mujhe ḳhushī hai chalo merā bhaa.ī sat.h pe hai
ham aise dekhne vāloñ kā koī dosh nahīñ
ki zer-e-sat.h kasāfat safā.ī sat.h pe hai
ye kis hunar se kiyā tum ne ḳhud ko sair ai dost
ki duudh pī bhī liyā aur malā.ī sat.h pe hai
Top Urdushayar.com