Paras Mazari

libas-e-zist kabhi yun bhi tera darshan ho

Paras Mazari

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1985
libās-e-zīst kabhī yuuñ bhī terā darshan ho
sajī sajā.ī huī jaise koī dulhan ho
ye qaht-e-sher paḌā ho na qaht-e-ġham ke sabab
charāġh itnā hī jaltā hai jitnā īñdhan ho
ye maiñ hī huuñ jo udāsī nikāltā huuñ tirī
har ik fasīl meñ lāzim nahīñ ki rauzan ho
tū apne ḳhvāb mirī aañkh se na dekhā kar
baratne ke liye behtar hai apnā bartan ho
ajiib jaldī thī bachpan meñ kab baḌe hoñge
baḌe hue haiñ to jī chāhtā hai bachpan ho
kaḌī jo TuuTī to sābit nahīñ rahī zanjīr
aham hai vo bhale chhoTā sā koī bandhan ho
Top Urdushayar.com