ḳhvāb āñkhoñ meñ sajānā bhī zarūrī Thahrā
zinda rahne kā bahāna bhī zarūrī Thahrā
us ko ehsās-e-pazīrā.ī dilāne ke liye
dar-o-dīvār sajānā bhī zarūrī Thahrā
jo sitam us ne kiye us ko jatāne ke liye
aa.ina us ko dikhānā bhī zarūrī Thahrā
terī yādeñ jo pareshān kiye rakhtī haiñ
is liye tujh ko bhulānā bhī zarūrī Thahrā
mahv ho jaa.e mire zehn se bhī us kī shabīh
us kī tasvīr haTānā bhī zarūrī Thahrā
ye hai dastūr-e-mohabbat ki hamesha jis meñ
vasl ke saath bichhaḌnā bhī zarūrī Thahrā
apne chehre pe sajā lī hai ye be-kaif hañsī
dard ko dil meñ chhupānā bhī zarūrī Thahrā
rasm-e-ulfat ko nibhānā hai 'sabīha' yuuñ bhī
ruuTh jaa.e to manānā bhī zarūrī Thahrā