na gire kahīñ na hare hue ka.ī saal se
yūñhī ḳhushk paat juḌe rahe tirī Daal se
koī lams thā jo sarāpā aañkh banā rahā
koī phuul jhāñktā rah gayā kisī shaal se
tirī kā.enāt se kuchh ziyāda talab nahīñ
faqat ek motī hī motiyoñ bhare thaal se
tū vo sāhira ki tilism terā uruuj par
maiñ vo aag huuñ jo bujhegī tere zavāl se
tire mausamoñ ke taġhayyurāt ajiib haiñ
maiñ qabā banāne lagā huuñ peḌ kī chhāl se