pasīna māthe se bah rahā hai na koī silvaT libās par hai
ajab thakan hai jo kaam karne se qabl taarī havās par hai
safed rut meñ gulāb hāthoñ se saat rañgoñ ke ḳhvāb chuntī
kapās chunñe ko aa.ī laḌkī kā dhyān thoḌī kapās par hai
samundaroñ ke musāfiro kuchh izāfī paanī bhī saath rakhnā
ki ik jazīra baḌī hī muddat se chand qatroñ kī aas par hai
mirī mohabbat ubalte alfāz kī na muhtāj hai na hogī
ye ThanDā paanī gilās meñ hai magar pasīna gilās par hai
badan kā har ek uzv dil kā kiyā-karāyā bhugat rahā hai
is ik student kī ḳhatā kā itaab saarī class par hai