ḳhudā ke vāste ab be-ruḳhī se kaam na le
taḌap ke phir koī dāman ko tere thaam na le
bas ek sajda-e-shukrāna pā-e-sāqī par
ye mai-kada hai yahāñ par ḳhudā kā naam na le
vafā to kaisī jafā bhī nahīñ hai ab ham par
ab itnā saḳht mohabbat se intiqām na le
zamāne bhar meñ haiñ charche mirī tabāhī ke
maiñ Dar rahā huuñ kahīñ koī terā naam na le
miTā do shauq se mujh ko magar kahīñ tum se
zamāna merī tabāhī kā intiqām na le
maiñ jānūñ jab ki bujhā de tū tishnagī dil kī
vagarna aaj se dariyā dilī kā naam na le
nahīñ vo husn jo āshiq ko shād-kām kare
nahīñ vo ishq jo nākāmiyoñ se kaam na le
rakhūñ umīd-e-karam us se ab maiñ kyā 'sāhir'
ki jab nazar se bhī zālim mirā salām na le