Sabiha Khan

be-sabab humse wo bezar nazar aate hain

Sabiha Khan

be-sabab ham se vo bezār nazar aate haiñ
dukh ke har chaar sū ambār nazar aate haiñ
kal talak jin ko thī ham se nisbat hamdam
aaj ġhairoñ ke talabgār nazar aate haiñ
jab bhī tārīḳh ke aurāq palaT kar dekhūñ
azmat-e-rafta ke mīnār nazar aate haiñ
kis ko fursat hai yahāñ dūsroñ ke ġham bāñTe
log ḳhushiyoñ ke ḳharīdār nazar aate haiñ
gard meñ kārvāñ kī aaj mujhe mub.ham se
duur manzil ke kuchh āsār nazar aate haiñ
ḳhair kī jin se kisī ko na thī koī ummīd
vo bhī ab mā.il-e-sār nazar aate haiñ
āḳhirash guzrī 'sabīha' ye añdherī shab bhī
ḳhair se sub.h ke āsār nazar aate haiñ
Top Urdushayar.com