dayār-e-shauq meñ aa.e the ek ḳhvāb ke saath
guzar rahī hai musalsal kisī azaab ke saath
ham ahl-e-dard pukāre ga.e sahīfoñ meñ
ham ahl-e-ishq utāre ga.e kitāb ke saath
phir ek shaam pazīrā.ī chashm-e-tar kī huī
phir ek shaam guzārī ga.ī janāb ke saath
hameñ ye ḳhauf añdhere nigal na jaa.eñ kahīñ
so ham ne jism ko Dhāñpā hai āftāb ke saath
mukālima rahā jaarī hamārī āñkhoñ kā
badan kī shāḳh pe khilte hue gulāb ke saath
kuchh aur chāhiye tishna-labī miTāne ko
ye pyaas vo hai jo bujhtī nahīñ sharāb ke saath
'za.īm' vo mirī dariyā-dilī se Dartā hai
vo mujh se miltā hai lekin baḌe hisāb ke saath