junbish-e-arz-o-samāvāt meñ aa.e hue haiñ
in dinoñ gardish-e-hālāt meñ aa.e hue haiñ
ab jo tū chāhe jahāñ chāhe hameñ le jaa.e
kyā kareñ ham jo tire haath meñ aa.e hue haiñ
maiñ akelā hī nahīñ aayā tujhe dekhne ko
kuchh sitāre bhī mire saath meñ aa.e hue haiñ
ai mah-e-chār-dahum terī ḳhushī kī ḳhātir
ik siyah-rāt kī bohtāt meñ aa.e hue haiñ
maiñ bhī din-rāt yahāñ kūza-garī kartā huuñ
us ke sab rañg mirī zaat meñ aa.e hue haiñ
ishq ḳhud aap ḳhurāfāt-e-tamannā hai 'za.īm'
is liye dasht-e-ḳhurāfāt meñ aa.e hue haiñ