auroñ kī tarah se ab na Taalo
ham ko apne gale lagā lo
gaalī na diyā karo kisī ko
bas bas apnī zabāñ sambhālo
ġhurfe meñ se jhāñk paas apne
ġhairoñ ko hañsī-ḳhushī bulā lo
aur ham se hazār haif pyāre
muñh ko sharmā ke yuuñ chhupā lo
hai qāfila umr kā ravāna
raḳht apnā musāfiro sambhālo
but-ḳhāne kī raah ko 'sulaimān'
chhoḌo tum aur rah-e-ḳhudā lo