Nawab Sulaiman Shikoh

jab tegh ko pakaD wo KHunKhaar ghar se nikla

Nawab Sulaiman Shikoh

1755-1838
jab teġh ko pakaḌ vo ḳhuñḳhār ghar se niklā
tab maiñ bhī jaan se ho bezār ghar se niklā
har mū-kamar ke sau sau bal paḌ ga.e kamar meñ
paTkā jo bāñdh kar vo bal-dār ghar se niklā
kushte ko tere dar se afsos le ga.e kal
aur tū na ik qadam bhī ai yaar ghar se niklā
chhoḌā na jab garebāñ dast-e-junūñ ne merā
tab chiir kar maiñ us ko nā-chār ghar se niklā
rauzan se us ne uupar mujh ko khaḌe jo dekhā
khañkhār kar vahīñ vo ayyār ghar se niklā
us but ke dekhne ko kar tark dīn-o-īmāñ
maiñ Daal kar gale meñ zunnār ghar se niklā
chehroñ pa āshiqoñ ke zardī sī phir ga.ī tab
jab bāñdh vo basantī dastār ghar se niklā
logoñ ke ḳhauf se phir kal shab ko merī ḳhātir
lāchār phāñd kar vo dīvār ghar se niklā
vo shāh-e-husn mere is mulk-e-dil pe yaaro
jis dam ki dauḌne ko yalġhār ghar se niklā
khol aah kā alam aur le ashk ke qashoñ ko
yuuñ maiñ bhī ho ke is dam tayyār ghar se niklā
kuchh to asar kiyā hai dil kī tire kashish ne
paḌhtā jo vo 'sulaimān' ash.ār ghar se niklā
Top Urdushayar.com