Nawab Sulaiman Shikoh

ghar se burqa jo ulaT wo mah-e-taban nikla

Nawab Sulaiman Shikoh

1755-1838
ghar se burqa jo ulaT vo mah-e-tābāñ niklā
chauñk uThī ḳhalq ki iiñ mehr-e-daraḳhshāñ niklā
mah ko aur tujh ko jo mīzān-e-ḳhirad meñ tolā
is se to husn meñ ai yaar do chandāñ niklā
rah ga.e hosh-o-havās-o-ḳhirad-o-tāqat sab
yuuñ tire kūche se maiñ be-sar-o-sāmāñ niklā
yaañ talak tīr-e-mizha khaa.e haiñ maiñ ne us ke
jā-e-sabza mire marqad pe niyastāñ niklā
tere bīmār kī sunte haiñ ye hālat hai ki ab
jo gayā us kī ḳhabar ko so vo giryāñ niklā
vaah kyā toḌ tirī tīr-e-nigah kā hai ki yaar
jis ke siine meñ lagā pusht se paikāñ niklā
sozish-e-dil ko bhī mere na bujhāyā tum ne
kaam itnā bhī na ai dīda-e-giryāñ niklā
fat.h diijo tū use yā shah-e-mardāñ ki tirā
mulk-gīrī ko jo hai ab ye 'sulaimāñ' niklā
Top Urdushayar.com