ham ki afkār ko tajsīm kiyā karte haiñ
harf-o-alfāz kī tahrīm kiyā karte haiñ
band kar lete haiñ āvāra havā muTThī meñ
phir fazā meñ use taqsīm kiyā karte haiñ
vaqt jab haath nahīñ aatā to roz-o-shab meñ
intiqāman use taqvīm kiyā karte haiñ
kab sitārā koī māthe kī shikan meñ utrā
sab fusūñ sāhab-e-tanjīm kiyā karte haiñ
ham ko ilzām na diije koī 'shākir'-kunDān
ham to nisbat kī bhī takrīm kiyā karte haiñ