ḳhud ko ahl-e-vafā samajhte haiñ
auroñ ko bevafā samajhte haiñ
paar kashtī lagā ke dikhlā.eñ
ḳhud ko gar nāḳhudā samajhte haiñ
ḳhāmiyāñ dūsroñ kī ginvā.eñ
ḳhud ko jo pārsā samajhte haiñ
kah bhī Dāleñ zabān se apnī
jo burā yā bhalā samajhte haiñ
ik na.ī zindagī hai ba.ad-az-marg
log use intihā samajhte haiñ
hirs-o-tama kī dauḌ jaarī hai
sab isī meñ baqā samajhte haiñ
kis tarah jaan luuñ 'sabīha' ko
apne dil meñ vo kyā samajhte haiñ