chaltī sāñsoñ ko jaam karne lagā
vo nazar se kalām karne lagā
raat farhād ḳhvāb meñ aayā
aur farshī salām karne lagā
phir maiñ zahrīle kār-ḳhānoñ meñ
zinda rahne kā kaam karne lagā
saaf inkār kar nahīñ paayā
vo mirā ehtirām karne lagā
lailā ghar meñ silā.ī karne lagī
qais dillī meñ kaam karne lagā
hijr ke maal se dil-e-nādāñ
vasl kā intizām karne lagā