koī miltā nahīñ ḳhudā kī tarah
phirtā rahtā huuñ maiñ duā kī tarah
ġham ta.āqub meñ haiñ sazā kī tarah
tū chhupā le mujhe ḳhatā kī tarah
hai marīzoñ meñ tazkira merā
āzmā.ī huī davā kī tarah
ho rahīñ haiñ shahādateñ mujh meñ
aur maiñ chup huuñ karbalā kī tarah
jis kī ḳhātir charāġh bantā huuñ
ghūrtā hai vahī havā kī tarah
vaqt ke gumbadoñ meñ rahtā huuñ
ek gūñjī huī sadā kī tarah