jāhiloñ ko salām karnā hai
aur phir jhūT-mūT Darnā hai
kaash vo rāste meñ mil jaa.e
mujh ko muñh pher kar guzarnā hai
pūchhtī hai sadā-e-bāl-o-par
kyā zamīñ par nahīñ utarnā hai
sochnā kuchh nahīñ hameñ filhāl
un se koī bhī baat karnā hai
bhuuk se Dagmagā rahe haiñ paañv
aur bāzār se guzarnā hai