J. P. Saeed

ahbab mere dard se kuchh be-KHabar na the

J. P. Saeed

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1932
ahbāb mire dard se kuchh be-ḳhabar na the
ye aur baat hai vo koī chāragar na the
tāqat thī jab badan meñ to darvāza band thā
jab dar khulā qafas kā mire bāl-o-par na the
anjān ham the raah se manzil bhī duur thī
achchhā huā ki aap sharīk-e-safar na the
is vāste bhī mujh ko tirā ġham aziiz hai
jitne bhī ġham mile vo ġham mo'atabar na the
tārīk raat kā thā safar raah pur-ḳhatar
raushan kahīñ charāġh sar-e-rahguzar na the
vo din bhī kyā the dil meñ tamannā na thī koī
takmīl-e-ārzū ke liye dar-ba-dar na the
sailāb-o-zalzale meñ hue kitne ghar tabāh
vo log be-niyāz rahe jin ke ghar na the
kuchh log mil ga.e the yūñhī raah meñ mujhe
jo mere saath saath the vo ham-safar na the
sab ne mirā kalām paḌhā lekin ai 'sa.īd'
jo mere nāqidīn the vo dīda-var na the
Top Urdushayar.com