J. P. Saeed

kuchh yaad nahin usko ki kya bhul gaya hai

J. P. Saeed

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1932
kuchh yaad nahīñ us ko ki kyā bhuul gayā hai
dil jaise ki jiine kī adā bhuul gayā hai
mausam ke badalte hī mizāj us kā bhī badlā
vo merī vafāoñ kā sila bhuul gayā hai
maiñ yaad huuñ jis shaḳhs ko siine se lagā.e
vo shaḳhs to ab naam mirā bhuul gayā hai
kānoñ pe hai bas ek sadā kā tirī pahra
har ek sadā us ke sivā bhuul gayā hai
bīmār ko us samt nahīñ fikr-e-mudāvā
us samt muālij bhī davā bhuul gayā hai
ma.alūm kareñ pūchh ke kuchh us se savālāt
kyā yaad hai us shaḳhs ko kyā bhuul gayā hai
qirtās ne har ek amal kar liyā mahfūz
mujrim hī magar apnī ḳhatā bhuul gayā hai
pādāsh meñ a.amāl kī nazroñ se girā kar
lagtā hai ki ab ham ko ḳhudā bhuul gayā hai
ilzām na do tum na.e shā.ir ko 'sa.īd' aaj
jo surḳhī-e-lab rañg-e-hinā bhuul gayā hai
Top Urdushayar.com