yaqīn jis kā hai vo baat bhī gumāñ hī lage
vo mehrbān hai lekin balā-e-jāñ hī lage
ham itnī martaba guzre haiñ āzmā.ish se
vo sīdhī baat bhī pūchhe to imtihāñ hī lage
taras ga.e haiñ ki khul kar kisī se baat kareñ
har āshnā hameñ ġhairoñ kā rāzdāñ hī lage
ho jaise kaifiyat-e-dil kā aa.ina manzar
vo ham-safar ho to sahrā bhī gulistāñ hī lage
maiñ jaise markazī kirdār huuñ kahānī kā
koī fasāna ho vo merī dāstāñ hī lage
tire ḳhayāl se nisbat kā ab ye aalam hai
kahīñ jhukā.ūñ jabīñ terā āstāñ hī lage
mire vatan ke sabhī log chāñd-tāre haiñ
zamīn us kī mujhe jaise āsmāñ hī lage
'sa.īd' bād-e-samā.at navā-e-mutrib hai
ḳhushī kā giit bhī ab naġhma-e-fuġhāñ hī lage