sahar kā nuur hai tāroñ kā in.ikās nahīñ
fareb-ḳhurda ho tum yā ziyā-shanās nahīñ
jabīn-e-sub.h pe tahrīr hai ye ḳhatt-e-jalī
na.e nizām meñ tafrīq-e-ām-o-ḳhās nahīñ
ye kis vasūq se anvār-e-sub.h kahte haiñ
na.ī hayāt se koī bhī vaj.h-e-yās nahīñ
ye aur baat hai dil ḳhuun ho gayā ġham se
nazar meñ aap kī ab bhī koī udaas nahīñ
vo aur hoñge jinheñ zindagī ke aish mile
yahāñ to ek tabassum bhī ham ko raas nahīñ
fareb-o-kizb dariyā se maiñ be-ta.alluq huuñ
ba-juz ḳhulūs-o-vafā kuchh bhī mere paas nahīñ
'sa.īd' dost mile haiñ mujhe kuchh aise bhī
ki jin ko mehr-o-mohabbat kā koī paas nahīñ