J. P. Saeed

tham gae ashk bhi barse hue baadal ki tarah

J. P. Saeed

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1932
tham ga.e ashk bhī barse hue bādal kī tarah
dil kī betābī vahī aaj bhī hai kal kī tarah
maiñ bhī huuñ ashk-fishāñ aap akele hī nahīñ
merā dāman bhī hai nam aap ke āñchal kī tarah
jām-o-sāġhar hī pe mauqūf nahīñ hai saaqī
ham bhī gardish meñ haiñ ik daur-e-musalsal kī tarah
intizār-e-shab-e-va.ada kī na pūchho rūdād
raat āñkhoñ meñ kaTī hai kisī bekal kī tarah
kisī ummīd kā maskan na tamannā kā mahal
dil kī vīrānī hai sunsān se jañgal kī tarah
aap jal jaa.e magar auroñ ko mahzūz kare
zindagī tum bhī guzāro yuuñ hī sandal kī tarah
tere jalne se agar tīrgī kam ho ai dil
tū bhī jal jā kisī jaltī huī mash.al kī tarah
lāsheñ bikhrī haiñ tamannāoñ kī armānoñ kī
qalb kā ganj-e-shahīdāñ bhī hai maqtal kī tarah
Top Urdushayar.com