J. P. Saeed

KHushi mili na agar mujhko zauq-e-gham to mila

J. P. Saeed

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1932
ḳhushī milī na agar mujh ko zauq-e-ġham to milā
milī na daulat-e-duniyā mujhe qalam to milā
ḳhushī meñ ḳhush huuñ to ġham meñ bhī muskurātā huuñ
ki mujh ko zarf-e-pazīrā.ī-e-alam to milā
nahīñ hai kam kisī jamshed se mirī taqdīr
ba-shakl-e-qalb mujhe ek jām-e-jam to milā
ġhalat hai umr kaTī merī saarī kulfat meñ
sukūn zer-e-samā mujh ko ek-dam to milā
ye zindagī ke kaḌe kos kis tarah kaTte
ḳhushā-nasīb ki ik ham-safar sanam to milā
nahīñ hai manzil-e-maqsūd ab ziyāda duur
sambhāl ḳhud ko qadam se mire qadam to milā
na kyuuñ ho apne muqaddar pe naaz mujh ko 'sa.īd'
ba-fazl-e-rab sharaf-e-bosa-e-haram to milā
Top Urdushayar.com