ye kis ne tum se ġhalat kahā mujhe kārvāñ kī talāsh hai
jahāñ maiñ huuñ tum ho koī na ho mujhe is jahāñ kī talāsh hai
liye zauq-e-sajda meñ dar-ba-dar phirā maiñ ne paayā nahīñ magar
jahāñ apne aap jhuke jabīñ isī āstāñ kī talāsh hai
na hai vasl kī koī aarzū na to hijr kī koī guftugū
jo shikār ho ġham-e-ishq kā usī rāz-dāñ kī talāsh hai
use do ḳhabar ki vo āshiyāñ jo hai soz qalb se zau-fishāñ
ye sunā hai maiñ ne ki barq ko mire āshiyāñ kī talāsh hai
mire shauq-e-dīd kī aarzū nahīñ chand phūloñ kī justujū
mire rañg-o-bū ke mazāq ko kisī gulistāñ kī talāsh hai
mire dil meñ ġham kā jo ḳhaar hai mirā dil usī pe nisār hai
jise mere dard kā dard ho usī mehrbāñ kī talāsh hai
kisī dil meñ koī makīn hai kisī dar pe koī jabīn hai
jahāñ ho na koī mire sivā mujhe us makāñ kī talāsh hai