J. P. Saeed

hai hamari dosti ka yahi muKHtasar fasana

J. P. Saeed

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1932
hai hamārī dostī kā yahī muḳhtasar fasāna
tirā shauq-e-ḳhud-numā.ī mirā zauq-e-āshiqāna
hai hamārī zindagī par kisī aur kā tasallut
na to ye tirā zamāna na to ye mirā zamāna
tirī be-ruḳhī kā shikva tirī dostī kā da.avā
mujhe Dar hai ban na jaa.e mirī qaid kā bahāna
ye ajiib kashmakash hai ki haiñ ham baham muqābil
mirā dil tirā nishāna tirā dil mirā nishāna
hai ye aadmī patañgā isī sham-e-ārzū kā
kabhī aarzū haqīqat kabhī aarzū fasāna
tirī chaah thī jo dil meñ vahī ruuh thī badan meñ
ye idhar huī ravāna vo udhar huī ravāna
mirā dil jalāne vaale zarā is pe ġhaur kar le
mirā dil nahīñ hai zālim hai ye terā āshiyāna
Top Urdushayar.com