shikast-o-fat.h-e-muqābil se be-niyāz to hai
ba-faiz-e-dār-o-rasan ishq sarfarāz to hai
usī se nikleñge naġhmāt-e-zindagī-parvar
shikasta hī vo sahī dil bhī ek saaz to hai
hazār qismat-o-mahaul zimmedār sahī
mirī tabāhī se un kā bhī sāz-bāz to hai
ġhurūr-e-husn salāmat magar ye kyā kam hai
hamārā dil bhī harīf-e-nigāh-e-nāz to hai
huā hai faash jahāñ par zabāñ pe aa.e baġhair
dil-o-nigāh ke mābain koī raaz to hai
atā-e-bāda ke inkār se ye bhed khulā
ki mai-kashoñ meñ tire paas imtiyāz to hai
mujhe talāsh-e-masarrat kī kyā zarūrat hai
ḳhushī ye kam nahīñ dil merā ġham-navāz to hai
nahīñ 'sa.īd' mire paas shaukat-e-alfāz
mirī ġhazal meñ magar qalb kā gudāz to hai