kyā kyā na dostī ke janāze uThā.e haiñ
thak-hār kar adū ke ilāqe meñ aa.e haiñ
aa dekh zindagī tirī izzat ke vāste
zaḳhmī laboñ se ham ne tabassum luTā.e haiñ
kis se kareñ savāl ke aavā bhī chāhiye
ham ne bhī chaak par ka.ī kuuze banā.e haiñ
tezāb chhiḌke jā.eñge rū-e-gulāb par
sunte haiñ gulistāñ meñ vo tashrīf laa.e haiñ
maazī ko haal karne kī ye bhī hai ik lalak
āvāz tū ne dī hai to ham lauT aa.e haiñ
ham par hī raushnī kī imāmat huī tamām
ham ne diye havāoñ ke ghar meñ jalā.e haiñ
sahrā meñ zindagī kī alāmat bhī DhūñDhnā
ham bhī ka.ī surāġh vahāñ chhoḌ aa.e haiñ
khīñchī thī tum ne hadd-e-vafā kī jahāñ lakīr
ham hasrateñ tamām vahāñ chhoḌ aa.e haiñ
ye hai kisī ke ġham kī sharī.at kā ehtimām
āñkheñ mirī zarūr haiñ aañsū parā.e haiñ
tohfe meñ tum ne bheje the bujhte diye tamām
aur ham tumhāre vāste 'ḳhurshīd' laa.e haiñ