mausam-e-gul ye tirī zard sahāfat kaisī
phuul ma.asūm haiñ phūloñ se siyāsat kaisī
us ne daldal ke qarīñ chhoḌ dī uñglī merī
ḳhizr kahlātā hai kartā hai qayādat kaisī
jaise is baar havāoñ meñ lagī ho dīmak
ho rahī hai mirī sāñsoñ kī kifālat kaisī
maiñ jahāñ bhī rahūñ ye DhūñD nikālegī mujhe
jāntā huuñ ki hai miTTī kī basārat kaisī
chhin ga.ī mujh se har ik chiiz alif se yā tak
mere maazī ne ye likkhī thī vasiyyat kaisī
gar koī qatl nahīñ kartā hai andar se mujhe
phir mirī palkoñ pe ashkoñ kī ye mayyat kaisī
sañg hāthoñ meñ liye soch rahā huuñ 'ḳhurshīd'
aa.ine se ye nikal aa.ī raqābat kaisī