Khursheed Ahmad Malik

muhasba kiya na jae isMein kis ka kya gaya

Khursheed Ahmad Malik

Jehanabad, Bihar, India

1964
muhāsba kiyā na jaa.e is meñ kis kā kyā gayā
na mujh se hī rahā gayā na us se kuchh sahā gayā
ye dil se dil kā vāsta bhī kitnā dil-fareb hai
jagī hai dil meñ raushnī ki terā dard bhā gayā
ye kis ke naqsh-e-pā pe sab ne e.atibār kar liyā
ye kaun pesh-rau banā ki rāsta banā gayā
nazar milā ke us se merī baat tak nahīñ huī
mire muāmle meñ jaane kaun kyā lagā gayā
abhī bhī merī jeb meñ hai raushnī bachī huī
añdherā kis umiid par mire qarīb aa gayā
ye niil mujh se kah rahā hai tanz kī zabān meñ
vahāñ pe jā sadā lagā jahāñ tirā asā gayā
mujhe pata nahīñ malak ki kis maqām par huuñ maiñ
zabāñ se jo nikal ga.ī use adab likhā gayā
Top Urdushayar.com