dard kā kaisā rishta hai shahnā.ī se
lāDlī beTī pūchh rahī hai maa.ī se
shādābī zaḳhmoñ meñ kaise aa.egī
an-ban Thahrī hai merī purvā.ī se
āñkhoñ ke pyāle meñ duniyā rahtī hai
us ko dekhūñgā man kī bīnā.ī se
dasht kī jānib niklā hai phir us ke saath
yūsuf dhoka khā.egā phir bhaa.ī se
apne andar kaafī Duub chukā huuñ maiñ
niklūñ kaise jism kī gahrī khaa.ī se
soch samajh kar us se bāteñ kartā huuñ
parbat paidā ho jaatā hai raa.ī se
sunñe vaalā koī nahīñ aatā 'ḳhurshīd'
shor lipaT kar rotā hai tanhā.ī se