aaj bhī abr-e-masarrat āñso.oñ meñ Dhal gayā
phir bharī barsāt meñ dil kā nasheman jal gayā
justajū-e-shab bujhātī to miyāñ kuchh ḳhair thī
raushnī kā kārvāñ chashm-e-sahar meñ khul gayā
sāhab-e-marham tirī jab se huī chashm-e-karam
ek zarā sā aabla nāsūr ban kar phal gayā
kyā ḳhabar thī jhālā-bārī mehrbāñ hogī abhī
peḌ samjhā thā yahī tūfān aa kar Tal gayā
kuchh samajh aatā nahīñ tark-e-vafā kaise karūñ
āstīn-e-ārzū meñ phir sañpolā pal gayā
rū-ba-rū 'sāhil' hai lekin ab bhalā kyā fā.eda
sair-e-tūfāñ karte karte jism saarā gal gayā