dasht-o-sahrā kī kahāñ ab zindagānī chāhiye
aur agar aisā hai to hoñToñ ko paanī chāhiye
sochtā huuñ mere dil tak kis tarah pahuñche koī
be-nishāñ ghar ke liye kuchh to nishānī chāhiye
putliyoñ par raqs karnā hī kalām-e-fan nahīñ
dard ke aañsū ko to paiham ravānī chāhiye
ik sunahrā ḳhvāb merī niiñd ko darkār hai
ḳhvāb ko bhī niiñd hī kī pāsbānī chāhiye
raat guzrī hai hisār-e-karb meñ ai 'maz.harī'
shaam ab dil ke liye koī suhānī chāhiye