Kausar Mazhari

ab ye bachche nahin bahlawe mein aane wale

Kausar Mazhari

Motihari, Bihar, India

ab ye bachche nahīñ bahlāve meñ aane vaale
kal bhī aa.e the idhar khel dikhāne vaale
ek muddat se ḳhamoshī kā hai pahra har-sū
jaane kis or ga.e shor machāne vaale
hū kā aalam jo thā pahle vo hai qaa.em ab bhī
ghūmte thak ga.e bastī ko jagāne vaale
ishq kī aag ne jalvaoñ ko javāñ rakkhā hai
log baaqī haiñ abhī naaz uThāne vaale
us kā har tīr-e-nazar dil meñ utar jaatā hai
yuuñ to dekhe haiñ bahut ham ne nishāne vaale
jis ko karnā thā yahāñ kaam vo to kar bhī ga.e
rat-jagā karte rahe Dhol bajāne vaale
ab to sahrā meñ samundar kā sakūñ dar aayā
jab se anqā hue haiñ ḳhaak uḌāne vaale
Top Urdushayar.com