Kausar Mazhari

ye to achchha hai ki dukh-dard sunane lag jao

Kausar Mazhari

Motihari, Bihar, India

ye to achchhā hai ki dukh-dard sunāne lag jaao
har kisī ko na magar zaḳhm dikhāne lag jaao
niil ke pāniyo raste meñ na haa.il honā
kyā pata zarb-e-kalīmī se Thikāne lag jaao
kitnī mushkil se to aa.e ho zarā Thahro bhī
sahl andāz meñ is tarah na jaane lag jaao
sāmne aao to jaise ki gul-e-tar koī
aur tanhā.ī meñ phir ashk bahāne lag jaao
mausam-e-dil jo kabhī zard sā hone lag jaa.e
apnā dil ḳhuun karo phuul ugāne lag jaao
aql samjhā.e to kuchh laaj rakho us kī bhī
jab junūñ tez ho to ḳhaak uḌāne lag jaao
kabhī tanhā.ī meñ baiTho to faqat rote raho
phir achānak hī kabhī hañsne-hañsāne lag jaao
bojh dil par hai nadāmat kā to aisā kar lo
mere siine se kisī aur bahāne lag jaao
Top Urdushayar.com