Sabiha Khan

hai khel jari azal se ye auj-o-pasti ka

Sabiha Khan

hai khel jaarī azal se ye auj-o-pastī kā
uruuj jis kā kabhī thā zavāl hai us kā
banā.ī us ke tasavvur meñ hai na.ī tasvīr
hai shāhkār mirā par ḳhayāl hai us kā
kahā thā us ne na jī pā.egā mujhe kho kar
vo jī rahā hai to ye bhī kamāl hai us kā
ḳhumār us kī mohabbat kā yuuñ vajūd meñ hai
ki aks meñ mire shāmil jamāl hai us kā
javāb de diyā us ne savāl kā mere
magar javāb meñ phir ik savāl hai us kā
kuchh is tarah se vo sheroñ pe daad detā hai
ki goyā zauq-e-suḳhan be-misāl hai us kā
'sabīha' yūsuf-e-sānī to vo nahīñ lekin
mirī nazar meñ samāyā jamāl hai us kā
Top Urdushayar.com