ye jo har lamha mirī saañs hai aatī jaatī
ek tūfān hai siine meñ uThātī jaatī
maujeñ uTh uTh ke tah-e-āb chalī jaatī haiñ
haañ magar kis kī hai tasvīr banātī jaatī
ye shajar jis ke sabab raqs hai kartā rahtā
kaash vo bād-e-sabā dil ko nachātī jaatī
bas vahī qīmtī ik shai jo mirā hāsil thī
har ghaḌī paas hī rahtī na yuuñ aatī jaatī
kam se kam sañg-e-sar-e-rāh to hotā 'kausar'
aur duniyā mujhe Thokar bhī lagātī jaatī