ye chehra hai gul hai ye gulshan hai kyā hai
saverā hai shabnam hai darpan hai kyā hai
chalī hai ye ḳhushbū tire gesuoñ se
tirī yaad hai terā dāman hai kyā hai
kiran husn kī chhan ke aane lagī hai
ye parda hai āñchal hai chilman hai kyā hai
nazar jhuk rahī hai ḳhamoshī hai lab par
hayā hai adā hai ki an-ban hai kyā hai
ye sharm aur tabassum ye āñkhoñ meñ kājal
adā hai kalī hai ki bachpan hai kyā hai
akele meñ ye phūTtī naġhmagī sī
ye aahaT hai koyal hai dhaḌkan hai kyā hai
namī hai fazāoñ meñ 'kausar' jī kahiye
ye gesū hai bādal hai sāvan hai kyā hai