kaun sī duniyā meñ huuñ kis kī nigahbānī meñ huuñ
zindagī hai saḳht mushkil phir bhī āsānī meñ huuñ
chāñd hai paanī meñ yā bhūle hue chehre kā aks
sāhil-e-dariyā pe dekho maiñ bhī hairānī meñ huuñ
qatra-e-shabnam ke bhī ehsān yaad aane lage
hoñT sūkhe jā rahe haiñ jab se maiñ paanī meñ huuñ
bhūlī-bisrī yaad ik aa.ī hai mere dil ke paas
maiñ bhī goyā aaj kal is dil kī darbānī meñ huuñ
ai ḳhizāñ kuchh der ko ye fasl-e-gul jiine to de
āj-kal masrūf maiñ bhī chāk-dāmānī meñ huuñ