par mire ishq ke lag jaa.eñ dīvāna ho jā.ūñ
maiñ ne sochā thā ki ik dam se fasāna ho jā.ūñ
aap kahiye to chalūñ dasht kī sahrā kī taraf
aur agar kahiye to dariyā ko ravāna ho jā.ūñ
kyuuñ bhalā us ko sar-e-shām ye zahmat dī jaa.e
kyuuñ na maiñ ḳhud hī zarā chal ke nishāna ho jā.ūñ
rabt hai us ko zamāne se bahut suntā huuñ
koī tarkīb karūñ maiñ bhī zamāna ho jā.ūñ
karvaTeñ lete hue raat guzar jaa.e to kyā
sub.h hote hī mohabbat kā tarāna ho jā.ūñ